DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS : 892-HADEES NO :2841

Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Umr Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha : RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Ye 4 Aadate jis kisi me hongi to wo Munafiq hai,aur in me se koi Ek bhi Adat kisi me ajaye to Nifaq ki Adat hain,Jab tak ke wo usko Chod Na de,

Jab Baat kare to Jhoot bole

Jab wadah kare to wadeh ki khilafwarzi kare

Jab Jhagda jare to Buri Baat kare

Jab Apas me Ahed kare to Usko Dhoka de.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2841),

Dars : In 4 Aadato me se Har wk Adat se bachna hai,kyu ke kisi bhi ek Adat Bandeh me ajaye to phir Baaqi ki Aadate bhi us bandeh me Ajayegi,lehaza koshish kare me in Baato se door rahe aur Sach Baat kare,wadeh ko pura kare,jhagdo se door rahe aur Kisi ko dhoka Na de warna uska wabal ek Na ek Din Zaroor lout kar ayega.

Allah Hame Nek Amal ki taufeeq ata kare.. Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

You might also like