DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,28 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Anas(rz) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Sajdah Behtar Andaaz me karo,awr Apne Haatho(Hands) ko Kutto ki tarah Sajdah me Na pahlavo ,!

Dars : Hadees e paak me Sajdah ke aadab bataye gaye hai ke, sajdah me apne haatho ko zameen se na lagavo ,kyu us se “IBADAT” me susti aati hai,awr Namaz me Dil nahi lagta hai,lehaza jab haatho ko sajdah me zameen se door rakhenge to chusti wa nashat tabiyat me baaqi rahta hai,awr khushoo wa khuzoo bhi salamat rahta hai,kyu ke bandah sajdah ALLAH ke darbar me kar raha hai,awr ALLAH us se us halat me bohat Qareeb rahta hai,qurbat me jitna khushoo hota hai ,utna hi,lutfo inayaat naseeb me aati hai,
Allah hum sabko sahee arkaan e namaz ada karne ki tavfeeq ata farmaye,,Ameen.

plz,,read and share it.

You might also like