DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,66 , DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Janazah me Hazir hota hai,awr phir Namaz e Janazah bhi ada karta hai,to uskeliye 1 QEERAT (ek napne ka paimanah hai) hai,
awr jo Namaz e Janazah ke baad “DAFAN” me bhi shareek rahta hai,to uske liye 2 QEERAT hai.
to poocha gaya ke ye Qeerat kiya hai ?
farmaya : 2 BADE PAHADO KE BARABAR “SAWAB” Hai.

Dars : Allahu Akber Kabeera !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Dekha mere islami sathiyo Namaz e Janazah me shareek hone awr dafan tak saath rahna ka kitna Allah sawab ata farmata hai.
lekin aaj kal hamare paas to in cheezo ke bare waqt hi nahi hota hai,hum aysi cheezo se ghafil awr doosri cheezo me mashghool hote hai,
hame chahiye ke aysa na kare balke koshish kareke namaz e janazah me shareek hokar ek musalman ke haq ko ada kare ,awr us se jo barkate wa rahmate hasil hoti hai,us se faidah utha le,,,,,,,,,
inshallah ,,,,,,ALLAH hame nek tavfeeq ata farmaye,,ameen..

plz,,read and share it.

You might also like