DUKAN YA MAKAN KA NAAM..?

Sawal : Assalamualaikum, mufti Sahab
agar humne ghar ,dukan ,ya masjid ,ka naam UMAR FAROOQ raqdiya to kya Aage raziAllahutalaanhu lagana cyahiye k nahi ?
(Abdul Raheem),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar koi Shaks apna Makan,Dukan etc ka Naam kisi Sahabi ke Naam se mausoom kare jo ke Ab wo naam uska Ya ghar ke kisi fard ka ho to us per Raziyallahuanhu likhna zaroori nahi hai,kyu ke ab wo naam ki nisbat sahabi ki taraf nahi hai,balke kisi Aam shaks ki taraf hai,umooman log apna ya apne ghar ke kisi fard ki taraf mausoom karke Dukan ya Makan ka Naam rakhte hai,
Ab Agar koi Khaas Naam Kisi Sahabi ki taraf hi Nisbat karke rakhe to tab bhi Raziyallahuanhu likhana Zaroori Nahi hai,balke us Dua ke jumleh ko Zuban se bhi ada karsakte hai,alfaz me hi likhna zaroori nahi hai,kyu ke Dua ke jumleh ko kisi bhi Andaz me ada karsakte hai,Agar likh de to bhi koi Haraj Nahi hai,
Bus Zahen me ye Baat rakhni hogi ke Deen e islam ek Aasan Deen hai,usko Hum Mushkil Nahi bana lena hai,
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like