JA NAMAZ FOLD KARNA ?

Sawal :Assalamualikim,Mufti Saheb,

Namaz mukammal karne ke baad kiya Jay Namaz(Musalla) Kuch Fold karna kiya zaroori Hai? Agar fold Na kare to kiya Namaz Nahi hoti ?

(Mohd Sameerullah Khan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,.
Namaz Jab Mokammal hojaye to uske Baad Dua karne ka Hukm hai,Aur Jay Namaz ka Kuch Fold karna Zaroori Nahi hai,aur Na hi Wo wajib hai,uska Namaz ke hone aur Na hone se kuch bhi Taalluq Nahi hai,
Haan,jaise koi aysi Masjid jaha Bohat se logo ka alag alag awqaat me aane ka mahol ho (yani jo masjid Bazar me ho) to waha musalle ko Kuch Fold isliye karte hai,take aane wale ko ye maloom hojaye ke yaha Jamat Se Namaz hochuki hai,take wo Intezar na kare balke apni Namaz mukammal karle,bus us se ek tarah ki nashandahi hoti hai,agar koi masjid me rahte hoto ab fold karna bhi zaroori Nahi hai.
(Sharh ul wiqayah,Vol/1,)
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like