MANNAAT ME BAAL(Hairs of Head) KA NIKALNA ?

Sawaal: Mere Dost ke Walda Mannat Maange the ke Rehmatabad Nellore Amma Jaan Nayab e Rasool ki dargah me bache (,Potre) ke baal nikalte bolke Or Unka Ab Inteqaal hogaya to baal wahi pe jake nikalna zaruri hai ya Eha Langer House ki dargah me bhi nikalsakte kyu ke wahan se eha pe silsila Milta hai.??
(Hafiz Mohd Akram),
jawab:Mannat ko Nazar bhi kahte hai,jo Sirf Allah keliye ki jati hai,wo mannat “wajib” hoti hai,jaise 20 rakat nafil namaz padhunga agar ful a kaam hojaye to…
haa,Allah ke alawah jo bhi mannat maange wo wajib nahi hai,balke mustahab hai,kare to bhi chalta nahi kare to koi baat nahi,,
jaha tak baal katne ki baat hai,aap aqeeqah karke apne bacho ke baal kate to is se sunnat ke saath aapka kaam hoga ye ziyadah behter hai,
kyu ke Hadees me to yahi aya hai,ke Bacha jab paida ho to 7 din baad uska aqeeqah karo aur Baal kato jis se uske badan ka bojh kam hojayega..
(sahi bukhari,vol/1,Pg/89..133),
Note:Dosto se guzarish hai,ke Har baat ko aur her kaam ko Ahle Sunnat wal Jamat per mat dalo pahle Ulama e kiram se pooch lo phir uske bare me amal karo to sab keliye behter hoga…

You might also like