MARD KE CHEST,HANDS & LEGS KE BAAL NIKALNE KA HUKM ?
Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Islam me Mard ko apne Seene(Chest),Haath Kalayi se Kohni tak aur Pairo takhno se raano tak ke Baal Nikalne(cut) ki ijazat hai? Ya Nahi?
(Md shahid),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Islam me Mard ko apne Seene ke baal aur Haatho ke Baal kohniyo tak aur pair ke Baal raano tak Baghir zaroorat ke Aur khoobsoorti keliye Nikalne(cut) ki “IJAZAT NAHI” hai.
Haan,agar ilaj(treatment)aur uske alawah kisi zaroori kaam ho to uski Ijazat hai,warna Nahi.
(Sahi Muslim,Vol/2,Pg/205),