NAKHUN (NAILS) NIKALNE KA HUKM ?

Question:Asslamualliakum Mufti Sahab,
Few queries:
1. Nails nikalnay ki duaa ?
2.Nails nikalnay ka tareeqaa ?
3.Nails kisdin nikalna chahiye  ?
4. Nails nikalnay kay baad kahan pheknaa chahiye

(Mohammed Ameer Khan),

Walikumassalam..wa rahmaatullah,

Bismilla  padh kar nails nikalna hai,

Seedhe Haath ke shahadat ki ungli se shuru karke Baya Haath(left hand) keshahadat ki ungli per khatam karna hai,seedhe haath se shuru kare,,
kisi bhi din nails nikal sakte hai,din me bhi aur raat me bhi,ghar ke ander bhi aur ghar ke baher bhi,
zameen me gaade ya paani me bahade,ya koi ayse maqam per phenkde jahan se log na guzarte ho,
      (Al Hidayah,Vol/3)
You might also like