NAMAZ E ISTEKHARAH KA TAREEQAH

Jab Kisi Kaam ke karne ka iradah ho chahe wo kaam deeni ,karobari,rishtehdari jo bhi ho istekarah Ki 2 Rakaat Nafil Namaz padhna hai,ye namaz kabhi bhi padh sakte ha,magar Raat me padhna ziyadah behter hai,istekharah ka matlab Allah se us kaam ke baare me bhalayi aur rahnumayi,Mashorah talab karna hai.aur ye namaz sunnat se sabit hai,jisko Imame bukhari aur Abu Dawood rahmatullahialihima aur doosre mohaddiseen e kiram ne bhi rivayat kiye hain,

(Sahi Bukhari :1162,Sunane Abu Dawood :1538),

** 2 Rakaat Nafil Namaz ki Niyyat kare,1 rakat me surah kafiron,aur 2  rakat me surah ikhlaas(Qul hulwallahu ahad…) padhna marvi hai,agar ye yaad na ho to jo yaad hai,wo padh sakte hai,

** Namaz ke baad 11 Baar durood e paak padh kar ye image me di gayi dua e istekharah padhe ,aur dua karte waqt apne us kaam ki niyyat bhi karle jis ke liye namaz padh rahe ho.

** Phir baate kiye baghir qibla rukh hokar sojaye ,khaab me uske baar me insha Allah ishrah milega ,Bhalayi ka mile,Ya Safed(white colour) Rang,ya Hara Rang(Green colour) Nazar aye to us kaam ke karne ki Taraf ishrarah ka matlab hai,to us kaam ke karne me Bhalayi Hogi,Insha ALLAH,

agar us kaame ke Munasib Na hone ka isharah mile ya, Laal Rang(Red Colour), ya Kala Rang(Black Colour) Nazar aye to us kaam ke Na karne ki taraf isharah ka matlab hota hai,to us kaam ko chod dena behter hai,

Note : Pahli Baar me Khaab me kuch Na dikhe to 7 din istekharah karna Behter hai.

 

You might also like