NAMAZ ME LAFZ E ” ABBA ” KAHNE SE NAMAZ KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar kisi ko Zakhm ho awr wo Namaz ki Halat me Dard ki wajah se ” ABBA ” lafz kahe to Namaz ka kiya Hukm hai ?
(Md Feroz),
Jawab : Walikumassalam Wa Rahmatullah,
Namaz ki halat me Zakhm ki takleef se koi ” ABBA ” ya ” AMMI ” koi bhi 3 Harf (3words) wala lafz kahe to Us bandeh ki Namaz * FASID * hojati hai,
Usko Namaz lautana Wajib hai.
Agar 3 Harf se Kam hoto Namaz Fasid Nahi hoti hai.
Kyu ke Namaz me Dunya ki Baat Karne se Namaz fasid Hoti hai,lehaza Ammi awr Abba ka lafz bhi Dunyavi Lafz se hai.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/265).

Plz..Share it for Free Islamic Service .

You might also like