NIKAH KA JODA(KAPDE) ?!

Sawal : ASSALAMUALIKUM ALIKUM MUFTI SAB. MERA EK DOST KA RISHTA TAI HUA. BATCHIT K DURAN YE BAAT HUYI K LADKE K WALE LADKI WALON SE KUCH NA LENGE AUR LADKI WALE LADKE WALON SE KUCH NA LENGE. AGAR KUCH DENGE BI TO APNI KHUSHI SE KUCH DE SAKTE DONO SIDES SE ISME DEMAND NI HI. YE BAAT HONE K CHAND DIN BAAD LADKI KI PHUPU NE KAHA K LADKE KE WALE LADKI KO KAPDE BANANA AUR LADKI WALE LADKE KO KAPDE BANANA SUNNAT KEHRAHE HI. KYA YE BAAT SAHI HI KYA KYUN K BAAT PYARE AAQA KO NISBAT DERE. QURAN AUR SUNNAT KI ROSHNI JAWAB DIJIYE JAZAKALLAHU KHAIR KASEERA.

(Abdur Raheem),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Nikah ke Mauqeh per Ladke wale Ladki ko aur Ladki wale Ladke ko Kapde banana *SUNNAT* se sabit hai,Kahna Sahi Nahi hai,
Kyu ke koi Bhi Hadees me aysa Sabit Nahi hai,
Haan,Agar Ek doosre Bataur e Tohfah dena chah rahe hain,to Deen e islam me Tohfah ya Hadyah dene ko Mustahab wa Mustahsan qarar diya gaya hai,
(Sahi Muslim,Vol/2,Babul Hibah)
ab Kapde dene me bhi Koi Demand(Mutalabah)Nahi hona chahiye wo apni Marzi se jo chahe la sakte hain,ya Na bhi Laye to koi Haraj Nahi hai,yani Lana Zaroori Nahi hai,
Yaad,Rahe ke Nikah me Naye Kapde pahen na bhi Zaroori Nahi hai,kyu ke kayi Sahab e kiram(raziyalkahuanhum) ke nikah purane kapdo me hi huve hai,
(Tareekh e islam,Vol/2,Pg/590),
Note : Deen e islam ek Aasan deen hai,isko insaani wa Nafsaani mutalabo ke zariyeh Mushkil Mat banalo..
Plz…share it to All,for more visiit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like