PREGNENT WOMEN AWR GHAR KI NA PAAKI KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,
Hamari Khalah ne kaha hai,ke Pregnent woman ki Delievery ke baad agar wo kisi bhi ghar me jaye to wo Ghar Na Paak hojata hai,usko dobarah Paint karna Zaroori hai,
To kiya ye sahi hai ?
Iska islam me kiya hukm hai?
(Sk Mohammed Farid),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Wo Khatoon Jinki Delievery (waz e Hamal) hojaye to wo kisi bhi Ghar ya Maqam per jaye to wo Ghar awr Maqam
” NA PAAK NAHI HOTA HAI ”
awr Nahi Usko Paint karane ki zaroorat hai,
Kyu ke 40 din tak Na paaki ka hukm sirf us awrat tak hi hoga ,yani wo Namaz etc..Nahi ada karsakti hai,
Doosri cheezo per Na paaki ka hukm Nahi lagayenge,
Kyu shareeat me Us awrat ko kisi cheeaz ko chone se Na Paaki ka Hukm Nahi aya hai.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/126),
Note : apke sawal se Bohat khushi huvi ke Aap ne Shareet ke khatir apni Khalah ki baat ki pairvi nahi ki,lehaza hum tamam ko chahiye ke islami ahkaam ko ulama se maloom karke Amal karne ki koshish kare.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like