QURBANI DENE WALE KE BAAL AUR NAKHUN NIKALNE KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Jo Shaks Janwar ki qurbani dene ka Iradah karle to kiya usko apne Baal aur Nakhun Nikalne ki ijazat Nahi hai ?

(Mohammed Ahmed ALi),

Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,

Jo Shaks Janwar ki EID UL AZHA ke mauqeh per Qurbani dene ka iradah karle to Sunnat ye hai,ke wo apne Badan ke jo Nikale jane wale baal hai,wo baal aur Nakhun Na nikale ,

Haan,agar kisi Baal na nikale kayi din hogaye ho,jo hadde karahiyat tak pahnche ho aur bechaini be ho rahi ho to aysa shaks apne nikale jane wale baal nikal sakta hai,jis se uski qurbani me koi Asar nahi hoga yani uski qurbani hojayegi.

(Al Binyah,Vol/11,Pg/5).

 

You might also like