QURBANI KE 7 HISSEH AUR EK KA INTEQAL ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jab 7 Musalman Qurbani ke bade janwar me shareek hone ka moahadah karliye the,aur un me se Qurbani se pahle hi 1 ka inteqal hojaye to ab is qurbani dene ka kiya tareeqah wa Hukm Hoga ?

(Mohammed Aziz .Hyedrabad,INDIA),

Jawab: Walikumassalam wa rahamtullah,,

Agar 7 Qurbani ke Hisseh walo me se kisi ek ka bhi inteqal hojaye aur wo unke wariso ki ijazat ke baghir qurbani de to Qurbani Nahi hogi,

balke unke warasah(Bete,Betiya..etc) se ijazat mil jaye aur phir Qurbani de to ab Sab ki Qurbani Hojayegi kyu ke ab in me sab ki Niyyat Qurbat ki hi hogi.

(Al Hidayah,VOL/7,Pg/173),

You might also like