QURBANI KE BADLEH PAISE ?

Sawal :Assalamualikum, Mufti Saheb,

EID Ul Azha ke Mauqeh per Qurbani ke Badleh Kisi Ghareeb ko Us Janwar ke paise de sakte hai ? Iska kiya Hukm hai ?
(Mohammed GHOUSE Pasha),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Eid Uk Azha ke Din Qurbani ki Raqam dene ke bajaye Janwar ki Qurbani Dena Afzal hai,aur is se Wajib bhi Ada hojata hai,aur agar Qurbani dene ka iradah tha,lekin qurbani ke Ayyam(days) Kisi Majboori wajah se Guzar gaye ho to ab un paiso ya Janwar ko Sadqah ki Niyyat se Ghareebo me dena hoga.
(Al Hidayah,Vol/7,Pg/164),

You might also like