SAFAR KE MAHINE ME MUSEEBATE ?

Sawal :Assalammualikum,Mufti saheb,

Log kahte hai,ke Safar ke Mahine me Museebate wa Balaye Nazil hoti hai,kiya ye Sahi hai,rahnumayi farmaye ?
(Mohammed Shahid),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Baaz Ahle Arab Deen e islam me dakhil hone se pahle yahi Batil Aqeedah rakha karte the,ke safar ke mahineh me Balaye wa Museebate Nazil hoti hain,uskeliye kayi Baatil Aamal bhi kiya karte,
lekin Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne wazeh taur per farmadiye ke “SAFAR ke bare me jo Aqeedah hai,wo Kuch bhi Nahi hai,
(Sahi Bukhari,H,No :5757),
islam ne ayse Batil aqaayid se rokta hai,
Lehaza Balaye wa Nemate Allah ke Hukm se hi Aati hai,Nek Aamal Nemato ka Zariyah Bante hain,aur Bure Aamal Balaye wa Museebato ka sabab bante hain,to Mahineh ko dekhne ke Bajaye apne MANN(Dil) ki Niyyato aur Badan ki Harkato pe tawajjuh de to sab keliye ziyadah behter hoga…insha Allah.

Plz..Share it to All,For more Visit our web site..
anwaarulislam,com.

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

 

You might also like