SALAT E HAJAT AUR 2 RAKAT WALI NAMAZ ME TEEN RAKAAT HOJAYE TO ?

Sawal : Assalamualykum rehmatullahi wabarkatuhu mufti Sahab 2 sawal hai bare meherbani jawab innyat farmayaee
1)agar koi hajat ke liye nmz pade or phir kuch din baad ussi hajat ke liye phir nmz pad sakhte? Agar jawab haan hai to phir daily gunnahoo se bachne ke liye hum daily iska ehtemaam karsakhte..
Kia kissi hajat ke liye Rozae rekh kar bhi dua maang sakhte?
2)agar nmz akele padrehe hoo 2 rakat sunnat or galti se agar 3 rakat ke liye tair gaye or surah Fatiha b start kar chuke to jab qayal ayye ke galti hui to kia hum 3 rakat ko mukamal karke sajde sahoo karne Mai behtaar ya phir jabi sajde sahoo kare ?
Bare meherbani rehnumiyee faramae
(Ahmed khan Naqshbandi)
Jawab :Walikumassalam wa
rahmatullah..
Hajat ki Takmeel keliye Salat ul Hajat yani 2 Rakaat Nafil ki Niyyat se padhe phir Dua kare,ye Namaz kayi Baar Padh sakte hai,aur is se Allah khush hota hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/2),
2) Jawab :Agar kou 2 Rakaat wali Namaz me Doosri Rakat me Qadah ke Baad teesri Rakat keliye Khada hojaye to Ab wo ek aur Rakaat badha le yani Jumlah 4 Rakaat padh kar akhir me Sajdah Sahoo karle to Namaz hojayegi,aur wo 2 ziyadah Rakaate Nafil hojayingi.
(Al Binayah,Vol/1)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like