DALAYIL UL KHAIRAAT,QIR’AT WA IJAZAT

* DALAYIL UL KHAIRAAT,QIRAT WA IJAZAT ?

Sawal : Assalamualaikum ,mufti sahab,dalail ul qairat k fazail bataye aur ise padhne k liye kis se ijazat ley bataye tou maherbani hogi.jazakallah.

(Mohammed Iqbal),

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..

Dalaaylul Khairat Kitab ki Qirat apne Shaik Se lena chahiye ya apne shaik kisi shak ka Naam bata de to unse Ijazat lena chahiye ,aur ye ijazat lene se Qirat me Barkat aur Nooraniyat me Riif’at (Bulandi) Naseeb hoti hai,

Fazaayil : Dalaayilul Khairat Padhne se Bohat Faideh hasil hote hain,jin me se chand ye hai ;

☆☆ Nabi e Paak (sallallahualihwasallam) ka Deedar naseeb hota hai,

■■ Ghar me Barkat,

●● Maqsad me Kamiyabi Naseeb 2hoti hai,

■■ Maal me Barkat Naseeb hoti hai,

■■ Roohaniyat me Me izafah hota hai,

●●Shayateen aur Jinnat ke Asaraat se Najat milti hai,

■■ Jadu ka Asar khatam hojata hai,

●● Chahreh(face) pe Raunaq Aati hai,

Iske alawah aur bohat se faideh hote hai,

Note : Dalaayilul Khairat Kitab padhne ka tareeqah apne Murshid wa shaik ya Ustad se Malum karlena chahiye…

(Muqaddimah Dalaayilul Khairaat,Pg/2)

WRITTEN BY:

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

●○○○○○○○●○○○○○○○●○○○○○○○○●

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam.com.

You might also like