* DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF **** 13th day,Chapter : TAHARAT,

 

Hazrat Abu Hurairah(rz) se rivayat hai,NABI E AKRAM(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab tum me se koi Neend se bedaar hoto Apne HaatH(hands) ko Bartan(tub,tank,etc..) me na dalo yaha tak ke teen baar(3 times) apne haaton ko dholo (wash) kyu ke pata nahi uska haath raat me kin kin maqamat me harakat kiya ho.

Dars : to dosto is hadees e paak me haato ki safai ka hukm diya gaya hai,awr ye her mauqa keliye aam hai,neend se bedaar ho ya kisi kaam me mashghool the ho,etc,,agar koi bhi is sunnat e paak ko apnaega to usko is sunnat ki barakat se..ibadath,sehat awr taharat ka faidah hasil hota hai,awe uske alawa kayee nematen milti hai,lehaza allah se dua hai ke hum sabko sunnato per chalne ki taufeeq ata farmaye.

You might also like