DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,DAY : 4

Hazrath Abu Ayyub (rz) se rivayat hai,kaha,ke Ek Aadmi Nabi e Akram (sallallahualihiwasallam) ki baargah me hazir hoke kaha ; mujhe ek ayse Amal ki rahnumayi farmaye jis per mai Amal paira rahoo awr who mujhko “Jannath” se Qareeb karde awr “Dozakh”(hell) se door karde ?
to Aapne farmaya : ALLAH ke saath kisi ko shareek Na karo,
Namaz Qayim karo,Zakath ada karo,awr Rishte daron (relatives) se husn e sulook karo,
jab wo aadmi chala gaya,to Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya ; Agar ye shaks in baaton pe amal karlega to “JANNATH” me dakhil hojayega.
Dars : to logo Hum sabko Shirk se bachna ,Namaz qaayim karna Hai,kyu ke Namaz her soorat me maaf nahi,AMBIYA,SAHAB ,SHUHADA,AWLIYA etc.. ko jab maaf Nahi thi yani wo ada karte,hadees me aya hai ke jo bandah jitni pabandi se namaz padhta hai wo utna hi Allah ke qareeb hota hai,
zakath bhi dena farz hai,jis maal se zakat dijati hai,to Allah us maal me barkath deta hai,
rishte daro se husne sulook se jo pesh ata hai,Allah uske ghar me Barkat ,ghar ke baher usko lzzat ata karta hai,

You might also like