DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,32,DAY,Chapter : MASAJID,

 

Hazrat AbuZarr(rz) se rivayat hai,Kaha ,Maine sawal kiya : Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) ZAMEEN (Dunya) me sabse pahli kaunsi MASJIS banayi gayi hai,to Aap ne farmaya : MASJID E HARAM ” To maine phir sawal kiya uske baad kounsi masjid to aapne farmaya : Bait ul Muqaddas ” maine sawal kiya undono ke darmiyan kitna faaslah tha to aapne farmaye :40 saal ka faaslah tha,
phir aap sallallahualihiwasallam ne farmaya ,tum jaha bhi raho ,awr NAMAZ ka waqt hojaye to tum Namaz wahi par Ada karlo to wahi ” MASJID ” ke hukm me hai,
Dars : Subhanallah ,hame maloom huva ke sabse pahli masjid dunya me kounsi hai,awr dono masjido ke darmiyaan faaslah bhi maloom huva,,
awr ye to zaat e mustafa (sallallahualihiwasallam) ki barkat hai,ke hum jaise gunaahgaar ummati jis maqam par bhi NAMAZ ada karlete hai,to ALLAH usi ko hamare liye MASJID ka Hukm inayat farmadiya hai,
jab ke pahli ummatiyo keliye unke ibadat gaaho me hi ibadat karna zaroori tha,awr ummat e mohammadiya ki ye khusoosiyat ke jaha chahe bandagi karle hujati hai,
awr iska hargiz matlab ye nahi hai ke aap MASJIDO ko chod kar ghar awr jaha chahe namaz padhlo balke safar ya tangi ki soorat me iska hukm hai,warna tamaam momino ” MARD ” (GENTS ONLY) ko masjid me namaz ada karna hai,
plz,,read and share it

You might also like