DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,42, DAY,Chapter : MASAJID,NAMAZ,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahanhu) se rivayat hai,kaha,maine Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko farmate huve suna hai, aap ne farmaya :
Jab tum Namaz keliye hazir hoto chalte huve hazir ho, daudte huve na aavo,jab hazir hoto tum per sukoon rahe,
awr jitni namaz pale utni padhlo,awr jitne choot jaye to usko mukammal karlo,,
Dars : is hadees e shareef me is baat ki taraf isharah hai,ke namaz sukoon yani khusho wa khuzu ki halat me ada karo,awr uska adab bhi batlaya gaya hai,

plz,,read and share it,

You might also like