KHULA KE BAAD BIVI KO KITNA /,KABTAK ? AWR BACCHO KA KHARCHA ?

Sawal :Assalam alaikum hazrat wala ,
ek sawal daryaft talab ye hai ki zaid do biwian hai pahle biwe se ek ladka ek ladki hai pahli biwi dawa e qula se alag hogai aur court ne 3000 hazaar rupay mahan naan nufqa tay kiya hai zaid ne dusri shadi karli hai dusri biwe se koi aulad nahi hai zaid qaangi mulazim hai to dono kis tarha apni tanqa taqseem karian, badi biwi mazkura raqam ke alawa bachaon ke aqrajat mangti rahti hai jab ke amadani bhi nahi hai aur kiya de na durst hai ya nahi (taqve aur fatwe dono ki surtoan ke sharyee jawab marhamat farmayen aur is jawab koi net per shaye bhi farmadain ?
(zia raza ).
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Jab bivi ne khula le hi liya hai,to ab wo bivi ke hukm me nahi hai,uska is shohar se koi ta’alluq nahi hai,kyu ke khula Hanafi mazhab me ” TALAQ E BAYIN” ke hukm me rahta hai,lehaza jab iddat(period) mukammal hone tak hi usko Nafaqa (kharcha ) dena wajib hai,lehaz ab bivi keliye kharcha dena shohar per wajib nahi hai,
(Al Hidayah,vol/2,pg/443)…..

.Jahatk chote bacho ke kharcho ki baat hai,to wo Baap ko dena wajib hai,uski zimmah dari baap per hi hogi,,
(Al Hidayah,vol/2,pg/445)..

Ab jab ke court me 3000 rupiye,mahana (monthly) moqarrar hai,to ab usko apni halat ke etebaar se kharcha dena hoga,,usko aasani se 3000 mahana nikal sakte hai,to de,warna un rupiyio ki kam (less) bhi karsakte hai,

(Al Hidayah,vol/2,pg/439)iskeliye muslim personal low ka sahara le to Govt bhi isko maan leti hai,
plz,,read and share it.

You might also like