Kya Walima karna Zaroori hai..?

Sawal : Assalamualikum,mufti sahab,
ek taraf jahan hum log bagair dahez ki shadiyon per zor de rahe hain. ku k aaj bhi hazaron behne aisi hain jo dahez ki bina per nikah jaise zaroori faraiz se mehroom ho rahi hain. wahin Mehngai ke is door me kafi bhai aise hain or dawat e walima ke liye paisa nhi hone ki bina per nikah se bach rahe hain. log apni shahenshahi ko dikhane ke liye lakhon rupess Walime per kharch karte hain. deen ki roshni me bataen ke kya Nikah ke baad Dawat e walima shar-an Zaroori hai. ?
(Mohammad Amber),
Jawab : Walikumassalam wa rahamtullah,Islam rahamt wa salaati wala mazhab hai,jis me ALLAH ne kayee ahkaam wa faraayiz rakhe hai,ye insaaan ke fitrat ke muwafiq hi rakhe hai,un hi me se ek fareezah wa Hukm” NIKAH” hai,ye Anbiya e kiram ki jaha “SUNNAT” hai,wahi ye insaani ek zaroorat bhi hai,jis se ibadat bhi hoti hai,awr zaroorat bhi,awr ye saare islami Ahkamaat Aasan wa sahoolat se labrez hai,magar insaan ne apni Nafsaani wa Shahwaani awr Shaitaani khwaahishaat ki khaatir usko “MUSHKIL” karliya hai,to Jaha tak ” Dawat e Valimah ” ki baat hai,wo ” SUNNATH” hai,
(Jamiut tirmizy,vol/1,pg/208)
“wajib” NAHI’ hai,yani agar kisi ke paas DAWAT E VALIMAH karne keliye paise nahi hai,awr wo dawat e valimah nahi karsaka to bhi uska Nikah baaqi rahega,tootega nahi,awr Valimah ki dawat me hadd se ziyadah israaf karna sahi nahi hai,jiski pooch kal qiyamat me zaroor hogi,

plz,,read and share it,

You might also like