12 RABIUL AWWAL KE DIN ROZAH ?

Sawal :Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Mera ek sawal hai kya hum Milad un nabi ka dina roza raksaktha kya
(Khaja Asif),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah wa Barakatuhu,
Meeladun Nabi sallallahualihiwasallam Ke Din yani (12 Rabiul Awwal,Baaz Moarrikheen ke lehaz se 9 Rabiul Awwal)) khud
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Rozah rakha karte jo Bataur e Shukrana huva karta
(Mustadrak Lil Hakim,Vol/2),
Lehaza agar koi Meeladun Nabi sallallahualihiwasallam ke din Rozah rakhna chahe to wo Rozah rakh sakta hai,aur jabke ye Eid ka Din hai to us Din Rozah Na rakh kar Khana khilane aur Sadqa,etc.. doosri Sharee cheezo ka ehtemam kare to wo bhi karsakta hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like