SAJDAH E TILAWAT KA HUKM

Assalamualaikum Maulana
 Sawal :Farz namaaz mein sajda tilawat kaise karenga kya musalli hazraat ko pehla ittela denga? Kya ruku mein niyyat kay saat sajda tilawat ko zam kiyeh ja sakta hai?
      (Mohammed Subhan Shareed Chishti),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Sajdah Tilawat se Pahle Imam ko chahiye ke Musalliyo ko Sajdah e tilawat ke bare me Aagah kare,aur agar imam Sajdah tilawat ke bare me pahle kahna bhool jaye ya Wo ruku me chala jaye to mufta bihi Qaul ye hai,ke wo Wo Sajdah e Tilawat ki Niyyat ruku me karle to Uska sajdah aur musalliyo ka sajdah e tilawat hojayega,kyu ke Ruku bhi Qiyam ke Hukm me hi hota hai,
(Tawzeeh,Talweeh,Vol/1,Pg/245)
Haan,agar sajdah tilawat ki Niyyat ruku me bhi bhool jaye to ab wo sajdah e tilawat ki qaza Namaz ke baad bhi nahi karsakta hai.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/126)
You might also like