4 RAKAAT WALI FARZ NAMAZ KI AKHIRI 2 RAKAATO ME… ?

Sawal : Assalamu Alaikum Wa rahmathullahi wa barakatuhu mufti sahab se ek sawaal ye hai k..
4 Rakaten padhijaanewali Farj namaz me 3rd Rakath me Surah Fatiha k baad Koi bhi Zamm e Surah Padhna hai, ya Sirf Surah Fatiha hi Kaafi Hai??
Maherbani hogi, jawab inayath farmaye Shukriya??
(Mohammed Azeem)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
4 Rakaat wali Farz Namaz jaise Zohar,Asar aur isha ki Teesri Rakaat me Sirf Sureh Fateha hi Padhna hai,uske Saath Koi Zammah Surah padhna Nahi hai. (Bahrur Raayiq,Vol/1),
Note : 4 Rakaat ho ya 2 Rakaat Sunnat Namaz me Har Rakaat me Sureh Fateha ke Baad Zammah Surah Padhna Wajib hai,Warna Sajdah Sahoo wajib hoga.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like