90 SIKKE(COIN) AUR 100 RUPEES ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz log 90 Rupiye ke Siike(coins) de kar Total 100 rupiye lete hai,to iska islam me kiya Hukm Hai ?
(Hafiz Siraj Qadri),
Jawab :Walikumassalam Wa Rahmatullah
90 rupiyo ke Siike (coins) de kar jumlah 100 Rupiye Liye Jisme 10 Rupiye Ziyadah hai,to Aysa karna Haram hai,kyu ke Paiso ke Badleh paiso ke Moamleh me Thodi bhi Kami ya Ziyadati ho to ye wo Sood(interest) kahlata hai,aur ye islam me “HARAM” hai.
(Al Quran,Vol/3,Surah:Baqarah:275),
Note : Aysi Tijarat aur Moamlah hi Na kare to behter hai.

You might also like