DARANE KELIYE TALAQ KE ALFAAZ ?

Sawal : Asslamualikum,Mufti saheb,
agar koi shaks Apni Bivi se ye kahe ke maine tum ko 3 talaq de diye ,phir baad me ye kah raha hai,ke maine isko sirf darane keliye kaha tha, to ab kiya ye talaq hojat hai,ya nahi ?
(Abdul rahman ali shah),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,,
jo bhi apni bivi ko Darane keliye ya Mazaq se ya ghusseh me bhi Talaq ke alfaaz ada kare to uski Talaq hojati hai,ab baad me jo bhi wo kahe uski baat ka etebaar nahi hoga,kyu ke alfaaz wazeh hai,isme koi doosri baat ki gunjayish nahi rahti hai.
(Al Hidayah,vol/3,pg/12)
Note : Aaj kal ka sabse bada alamiyah yahi hai,ke har choti baat per Talaq dene lagte hai,ye bilkul ghalat baat hai,aysa na kare balke sabr se kaam lenaz zaroori hai,

You might also like