DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,18 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Ubadah bin Samit(rz) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : jo shaks Namaz pahe awr Namaz me Surah Fateha NA padhe to uski Namaz mukammal hi nahi huvi.

Dars : Hazraat e girami ,surah fateha ke baare me ayimmah ke nazdeek ikhtelaf hai,
Ahnaaf ke paas (Hanafi mazhab) ” surah fateha ” padhna wajib hai,agar koi namaz me surah fateha bhool se chod de to uspar *sajdah sahoo* WAJIB hota hai,

Imam e shfayi(rh) ke paas SURAH FATEHA padhna farz hai,agar unke paas koi usko padhna bhool se bhi chod de to Namaz ka lavtana zaroori hai,

Note : HANAFI mazhab me agar koi surah fateha ko zammah surah ke bad padhe to us per bhi sajdah sahoo wajib hota hai,kyu ke usme tarteeb me farq araha hai,ke uska maqam zammah surah se pahle hai,na ke bad me.

plz,,read and share it

You might also like