DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,17 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Malik bin Huvairas(rz) se rivayat hai,ke Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Jab Takbeer kahte to Apne Dono Haath Kaano(ears) tak utha te awr jab rukoo se uth te to ” SAMIA ALLAHU LIMAN HAMIDAH” kahte is tarah her namaz me karte.

Dars : is hadees e shareef se humko raushni milti hai,ke takbeer ke waqt dono kaano tak haat uthana ” SUNNATH ” hai,
ye hukm Mard logo keliye hai.
awr awrato(ladies) keliye dono haat seene (chest) tak haath uthana hai,jo ke sunnath e qavli se saabit hai,wo isliye ke seene tak khawateen(ladies) haath uthaye to is me pardah wa hijab ka ehtemaam hota hai.
* IMAAM saheb jab ” SAMIA ALLAHU LIMAN HAMIDAH ” kahe to Muqtadi hazraat jawab me :
“‘ RABBANA LAKAL HAMD “” kahe,ye kahna bhi ” SUNNATH ” hai

You might also like