QURBANI DENE WALE KA ROZAH ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Kiya Qurbani dene wale ko Eid ul Azha ke din Rozah rakhna hoga ? Is tarah Baaz log kahte hai?kiya ye sahi hai ?
(Ahmadi Begum),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..Qurbani dene wale Ko Eid Ke din Rozah rakhna Mana hai,yani us din rozeh ki ijazat Nahi hai,aur ye jo Baate logo me pahli huvi hai,ye sahi Nahi hai,kyu ke Hadees e paak me aya hai,ke Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) rivayat karte hai,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Eid ul Fitr ke Din Rozah Na rakho kyu ke ye Rozah Chodne ka Din hai,aur Eid ul Azha ke din Rozah Na rakho kyu ke ye Qurabani ka Gosht Khane ka Din hai.
(Sahi Bukhari,Vol/2,H,No:5145),
Haan,Eid ul Azha ki Namaz se pahle Kuch Na khana ye Sunnat hai,pgir Namaz ke baad khana hai.

Share it to All,For more islamic Services plz Visit our Web site.

You might also like