QURBANI KE JANWAR KE SEENGH KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jis Janwar ki Qurbani di jarahi ho aur uske Seengh Toote huve ho ya Us janwar ko Seengh hi Na ho to ayse Janwar ki Qurbani de sakte hai ? Ya Nahi ?
(Mohammed Sameer Ahmed),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Qurbani diye jane wale janwar ke seengh Ladayi ya kisi aur Wajah se toot jaye,ya Paidayishi Taur per hi usko Seengh Na ho to ayse Janwar ki Qurbani Jayiz hai,aur isko Qurbani keliye istemal karsakte hai,kyu Ke Seengho ko Khaya nahi jata hai,aur ye maqsood bhi Nahi hote hain.
(Al Binayah,Vol/11,Pg/43),

Plz.Share it to All,& For more Islamic Services Visit our Web Site.

You might also like