JUMAH KE DIN ZIYARAT

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Mai Har Jumah apne Marhoom Walidai ki ziyarat keliye Qabrastan jata hoon,aur Waha Itar aur Gulab ka paani Chidakta hoon to kiya Itat aur Gulab ka paani chidak sakte ?
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam Wa Rahmatullah,
Qabro ki ziyarat karna “SUNNAT” hai,lehaza apne Marhoom Azeezo wa Aqaareeb ki ziyarat keliye Har jumah ya Her Din bhi qabrastan ja sakte hai,magar itar aur Gulab ka paani chidakne se behter ye hai,ke Quran ki Tilawat kare aur Kuch Hari Wa Shadab pattiya yani Gulab ke phool ya Hare Darakht ki pattiya etc Qabro per Dale to Bayis e Rahat wa Takhfeef e azaab ya Bulandi e darjaat hoga.
(Sahi Bukhari,Kitabut Taharat,Vol/1,Pg/87..90).

You might also like