ISLAM ME TAVEEZ KA HUKM

Quraan-e-kareem ye vo azeemusshan kitab hai jo allah ke kalam se labrez hai jaha vo ahle zalaalath ko sahibe hidaayath banaa deta hai. wahi wo apne ruhaani faiz se saahibe amraaz ko saahibe saheth banaa deta hai. jaha ye quraan-e-kareem sari insaaniyath ki rehnumaae ke liye allah ki ata hai. isi tarah ye poore insaano ki bimaari ke liye aalaye shifa hai. jaisa ke quraan-e-kareem me kaha gaya-‘ hum hi hai jo quraan-e-kareem ko naazil kiye jisme tamaam momineen ke liye shifa bhi hai aur rehmath bhi hai.” Tou is se maalum hua ke quraan-e-kareem ka ek ek lafz bimaari se shifaa ka zariya hai. aur isme is baath ki taraf bhi ishaara hai ke quraan-e-kareem ke alfaaz se bimaari se shifaayath hasil karne ke liye faiz haasil karna ye quraan se saabith hai. usi ka naam ruhaani ilaaj hai. EX: ‘dua padna,dum karna,taweez ka istemaal karna aur usko gale me lagaana vagaira.’ ye tamaam cheeze ahaadith-e-shareef se ,kutube ahaadith,kutube tafseer,aur kutube fatawaa wagaira se bhi saabith hai.
AHADITH SE IS KA SABOOTH:******* Amr ibn-e-shuaib apne vaalid aur apne dada se rivaayath karte hai ke allah ke rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaaya: agar kisi ko neend me qouf ho jaye tou vo ye kalimaath pade :
“Avuzu bikalimaatillahittammati min gadabihi va iqaabihi va sharrul ibaadihi va min hamazaatish shayateen”
agar koi bhi qouf ho tou vo door ho jaayega aur inko us se kisi tarah ka bhi nuqsaan nahi pohonchega phir shayaateen unko nuqsaan nahi pohonchaayega. Tou abdullah ibn-e-umar apne baccho ko is baath ki taaleem diya karte the. aur vo usko kisi cheez(paper) par likha karte the aur baccho ke gale me latka diya karte……..
.
{abu dawood (raziallahu taala anhu) 3893, sunan tirmidi,chapter99,hadith 3539} * **{Abu daawood(raziallahu taala anhu), Nasai(raziallahu taala anhu) aur al hakeem (raziallahu taala anhu) ne kaha ke isnaad sahih hai.} ** {sahihul buqaari,jild duwwam(2), kitaabe tib,safah 854(baaburruqa bil quraani val muavvizaath ) **{sahihul buqaari jild duvvam (2),baabunnafsi fir ruqiyyati, kitaab-e-tib,safah no 855 } **{jaamiyutt tirmizi , jild duvvam(2) kitaab-e-tib, safah(26)} **{tafseerun nasafii me safah no 388 } **{ruh-al- mani ,chapter15,under suratul mu’minun, verse 97 } **{fatawaa ibne taymiyyah jild19,safah no 65…} u

You might also like