IDDAT E NIFAS KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Kya farmate hai muftiyane ikram is mas’aleke
Aurat ke bachcha peda hone ke baad Jo nifas aata hai
Jitni uski muddat hai
Nifas 20 din aaya uske baad nahee aaya
Aurat nifas ke 20 din ke baad nifas ki muddat poori hone tak
Namaz agar na pare to gunah gaar hogi ya nahi

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Wiladat ke baad Awrat ki “Nifas”(wiladat ke baad khawateen se nikalne wala khoon),ki kam se kam ki muddat ki koi Qaid Nahi hai,Haan uski ziyadah se ziyada muddat 40 din ki hai,awr jiski Muddat e Nifaas khatam hojaye jaisa ke aapne kaha ke 20 din baad khatam hojaye to unko Namaz ada karna shuru karna chahiye warna wo gunahgaar hogi.
.(Al Hidayah,Vol/1,Pg/70)

You might also like