DAHLEEZ PER BAITHNA ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Log kahte hai,Ghar ki Dahleez per Baithne se Iflasi wa Manhoosi aati hai? Ye kaha tak Sahi hai ?
(Mohd Noman),
Jawab : Walikumassalam Wa Rahmatullah
Baaz logo ka ye Aqeedah hai,ke Dahleez per hi baitne se iflasi aati hai,lehaza wo Iflasi aane me Dahleez ko sabab qarar dete hai,
Ye Ghalat hai, balke Dahleez ka Matlab Raastah hai,Hadees me aya hai,Raasteh se takleef pahonchane wali cheez ko Hatana bhi Eemam ka Hissah hai,
(Mishkaat ul Masabeeh,Vol/2,),
jab khud hi raasteh per baith jaye to ab to aur bhi aane jaane walo ko takleef hogi,lehaza aysa karna Sunnat ke khilaf hai,jab Sunnat ke khilaf amal kare to iski wajah se Gharo me Iflasi ajati hai,
Sunnato per Amal karne se Barkat …
Hame chahiye ks Sunnato per Amal karne ki koshish kare..

You might also like