HADEES KA INKAR ?

Sawal :Hazrat Asslamualaikum . Ek confusion hai .
Kya inkar e hadees kufr hai?
Aur agr koi shaks ye khe k muche Shirf quran se samjho ya aasmano kitabon se hadees se nhi to us per kya hukm hai?
Hazrat bhut zaroori hai reply kriye.
(Ek islami bhai)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Hadees ki 3 Qisme hai,
1)Hadees e Mutawatir
2)Hadees e Mash Hoor,
3) Khabar e Wahid,
Jo Hadees e Mutawatir ka inkar karta hai,to Wo “KAFIR” hojata hai,
Baaqi ki 2 Hadees ke inkar se Gumrah kahenge
(Nukhbatul Fikr,Vol/1,Pg/3),
Lekin Ek Momin ko Chahiye ke wo Quran ko Saamne rakh kar Kisi bhi Hadees ka inkar Na kare,kyu ke Hadees to Quran ki Tafseer hi hoti hai,agar Hadees ka inkar karenge to Phir hame Quran me Namaz ka tariqah hi nahi milega kyu ke wo to Hadees se hi malum huva hai,isi tarah saare Arkan e islam unka tariqah Hadees se hi sabit hai,kyu ke quran me uska Hukm hi milta hai,aur tariqah Hadees me…
Yaad rahe Hadees ko chod kar Quran pe Amal ki Baat “AHL E QURAN” naam.ka ek firqah(jamat) hai,us se sab musalmano ko bachna chahiye..Allah unko hidayat de…Ameen

You might also like