NA PAAKI KI HALAT ME PAANI ME HAATH DALNE …?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar koi Na Paaki ki Halat me Paani(water) me Haath Dale to Paani Kiya Na Paak hoga ?
(Shaik Mohammed Fareed),
Jawab : Walikumassalam wa Rahmatullah,
Agar koi Na paaki ki Halath me ya Ghusl se pahle Paani(water) me yani Balti ya Bartan haath(Hand) dale jabke uske Haath me koi Na Paak cheez Na hoto wo Paani Na paak ya Mustamal(used water) Nahi hota hai,
Kyu ke Hadees me aya hai,ke
Hazrat Maimoonah(raziyallahuanha) farmati hai,ke Jab Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Ghusl e Janabat farmate to Baye haath paani me dalte awr paani lekar seedhe haath ko dhote,isitarah Phir Daye(right hand) ko paani me daal kar Baya(left hand) dhote
Awr phir saare Badan per paani bahate.

(Sahi Muslim,Vol/3,Pg/188,H,No :317).

To malum huva ke Ghusl e janabat se pahle agar baghir Na paak cheez ke Haath dale to paani Na paak nahi hota hai,agar Na paaki ka hukm laga de to Ummat per Haraj hoga.

Plz..Share it to All,For Islamic Service.

You might also like