ISLAM ME BITCOIN KA HUKM

BITCOIN

 


Deen islam ne Is Dunyavi Zindagi me Maal ko Zeenat se Tabeer kiya hai,Jaisa ke Allah ne Quran e Kareem me farmaya :

المال والبنون زينة الحياة الدنيا

(Quran,Surah Kahaf,A/46),

Tarjumah : Maal (Money) aur Awlaad(Children) Dunyavi Zindagi ki Zeenat hai,

To Is Zeenat yani Maal ke Baare me islam ne Fitneh(Azmayish) se bhi tabeer kiya hai,isi liye Deen e islam me Maal ki Hifazat aur usko fuzool kharch karne se bhi Mana kiya hai,

Maal ko Halal tareeqo me istemal (invest) karke usko Badhane aur us se manafeh(profit) hasil karne ijazat wa taleem di hai ,jabke usko Haram Raasto me istemal karne se bhi Mana kiya hai,

Islam me Maal ki Tareef (Definition of Maal (Money):

ما يميل اليه الطبع،ويمكن ادخاره لوقت الحاجة، والمالية تثبت بتمول الناس كافة او بعضهم

،حاشية ابن عابدين ط: دار التراث العربي ببيروت،ط الثانية 1407ه4/3

2) المال كل ما يمكن حيازته واحرازه وينتفع به عادة

(Al Bahrur Raayiq,Vol/2,pg/227),

Khulasah : Maal Har wo  Cheez hai,jisko Waqt e zaroorat Jama kiya jasakta ho,aur wo Logo ke Paas Qeemat wala ho,Aur usko Maaddi tour per apne Paas Qabzeh me bhi rakh sakta ho,aur us se Faidah bhi hasil kiya jasakta ho.

Fuqaha e Kiram ne Maal ke Baare me mukhtalif Tareefe kiye hain,jisme Maal Qeemat wala ho,Aur Maaddi(physical) shakal bhi ho,

To Jaha tak “BITCOIN” ki Baat hai,uske Baare me kaha gaya hai ke :

Definition of Bitcoin: BITCOIN is a Digital Currency  with No Central issuing Authority or Physical Form,More Spacially BITCOIN is CryptoCurrency that uses Cryptography techniques to guide encryption protocols which identify ownership and verify transactions details.

Bitcoin : ye Ek Digital Maal hai,uski Sikkho aur Note ki Rupiyo wali koi Shakal Nahi hai,Aur isko kisi bhi mulk ki Hukumaato ne Na tasdeeq kiye hai,aur Na hi usko Paiso ki Shakal me Jari kiye hain,aur isme koi Zimmah wa Zaman(guarantee) bhi Nahi hai,

Jabke Fuqaha e Kiram ne Islami Ahkaam me Quran wo Hadees ki Roushni me ye wazeh kardiya ke tijarat me Bechne wala (seller) aur Khareedne wala (Buyer) ko مبيع beche jane wali Cheez aur ثمن qeemat dono Maal ho aur uska Qabzah bhi ho,Jab tak ye dono cheeze Nahi mukammal hongi to Wo Tijarat hi ta Tamam hai,to jaha tak Bitcoin ki Baat hai,usko Na qabzeh me le sakte hai,Aur Na hi uska koi Waseeqah(guaranteed) hai,to BITCOIN se Online se tijarat aur Len Dain ki ijazat Nahi hai,aur BITCOIN KO Islam me Maal hi tasawwur Nahi kiya jayega.والله اعلم بالصواب

 

WRITTEN BY:

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(Founder of Tanzeem Anwaarulislam, & ARABIC SCHOOL ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR,T.S)

You might also like