ISLAM ME VAASTU KA HUKM

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
kiya islam me vaastu ki koi haqeeqat hai ?
(mateen shareef),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
islam me ” VAASTU ” ki koi Haqeeqat nahi hai ,ye ghairo ke paas ziyadah Rayij hai,islam se iska koi Ta’alluq Nahi hai,kyu ke Allah hi Har Cheez Per qudrat rakhne wala hai,VAASTU jaise Khayalaat wa tasawwuraat Rakhna Sahi Nahi hai.
haan ghar banate waqt Baitul Khala(Toilet) me insaan ka rukh Kabatullah ki taraf Na PEET (back) hona hai,awr Na hi pet(stomuch) hona hai,
awr Dukan me furniture ki tarteeb aysi honi chahiye ke bait te waqt qiblah ki taraf peet nahi honi chahiye,,,
iska hukm hadees me aya hai.
(jamiut tirmizy,vol/1,Pg/3),

plz,,Share it to All for islamic service.

You might also like