BADAN PER PESHAB KE QATRE GIRNE SE TAHARAT KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
agar ki shaks ke badan ke kisi maqam per insaan ke Peshab (urine) ke qatre lag jaye ya girjaye to kiya usko GHUSL karna wajib hai ?
(md islam ,pakistan,lahore),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Insaan ka peshab Najasat e Ghaleezah me se hai,agar wo kisi insaan ko lag jaye ya gir jaye to us maqam ko 3 paani se dhona wajib hai,
magar Ghusl karna “WAJIB NAHI HAI’.
(Al Hidayah,VOl/1.pg/127),
aksar Nawjawaan jab peshab ke qatre lag jate hai,to ”
Taharat toot gayi hai” kahkar Namaz ko chod dete hai,aysa Nahi hai,aap us maqam ko 3 baar dhole awr wazoo bana kar Namaz padh sakte hai.

plz,,Share it To ALL for islamic service .

You might also like