MUSAFIR AUR TARAVEEH ?

Sawal : Assalaam alaikum ek sawaal hai mulsab agar koi shaks duty 100 km 24 he’s Kare to kya wo farz namaz kasar Kare ya adaa Kare . Aur taraawih ka kya hukm hai. Jazakallah

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Jo Shaks 100 Km Safar kare aur 15 din se kam din ho to ab wo Musafir ke Hukm me hoga,Ab Usko Farz Namaze Qasr Yani 4 Rakaat ko 2 Rakat,2 ko 2 hi aur 3 ko 3 Rakaat hi padhna hoga,
Haan,Agar Imam saheb ki iqteda(Jamaat) se Namaz padh raha ho to ab usko Qasr karna Nahi hai,
Namaz e Taraveeh me koi Qasr Nahi hai,kyu ke wo Sunnat hai,Sunnat me koi qasr Nahi hai,agar Waqt ho aur Masjid me Jamat horahi ho to Musafir ko chahiye ke wo Namaz e Taraveeh mukammal Jamat ke saath Ada kare,
(Al Binyah,Vol/1,Pg/134)
Agar Namaz e Taraveeh Choot jaye aur Waqt Baaqi ho to usko padhle agar Waqt Na ho to Taraveeh ki Qaza Nahi hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like