ROZEH ME THOOK KA HUKM ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,

Agar kisi ko Rozeh ki Halat me Thook ziyadah aata ho to wo kiya kare ?
(Mashoo Makhsood),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar kisi ko Rozeh ki Halat me Thook ziyadah aata ho aur wo Nigal jaye to us se Rozah Nahi toot ta hai,kyu ke ye us shaks ki Majboori hai,
Haan,Agar koi Apni Piyas Bhujane keliye Thook ko Mooh(Mouth) me jama karke Nigal jata ho to us se usma Rozah Toot jata hai,
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/212),
Aur Agar kisi ko Normally Thook aye aut wo nigal le to us se Rozah Nahi toot ta hai,jab ke Baaz log Thook jama karke thook te hain,aysa bhi Nahi karna chahiye ke jiski wajah se Piyas Badh jaye aur khud Bechain hojaye.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like