TOILET KE WAQT PAANI USE KARNE ME ROZEH KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Aaj kal ek Audio clip me bataya jaraha hai,ke Taharat ke waqt(toilet) me Paani lente waqt agar Taharat ke khaas Maqam per Thandak Mahsooh ho to kiya wo paani Medah tak jakar Rozah toot jata hai ?
(Mohd Aleemuddin),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Insaan ke Taharat ke Maqam se Paani ya Dawa kisi pipe ke zariyeh medeh me pahonchaye to Us se Rozah Toot jata hai,
Lekin Taharat ke waqt Istenja keliye Paani(water) Saans Roke baghair Istemal karne aut Thandak Mahsoos hojaye to Bhi Us se Rozah Nahi toot ta hai,kyu ke Us se Paani Medah tak Nahi pahonchta hai,Jab tak ke aap kisi cheez(pipe etc..) se Paani medeh tak Na pahonchaye..
(Al Binayah,Vol/3,Al Hidayah,Vol/2,Pg/230)
Aur ye Baat bhi zahen me rakhe ke Deen e islam ek Fitri aur Assan deen hai,aur iske Ahkamaat bhi Aasan hi hai,
Agar aysi Cheezo ko lagu karde to Deen me Haraj hojayegi…Jab ke Allah ne Deen me Haraj(Dushwari) ko Nahi rakha hai.
(Al Quran,Surah Maidah,ayat/6),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like