ZAATI GHAR NA HO TO US PER ZAKAT KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Ek Saheb ka Sawal hai,ke unke Paas 7 Tola Sona(Gold) to hai,lekin wo House Rent lekar rahte hai,kiya un per bhi zakat wajib hogi?
(Ek islami Bhai)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullahAgar kisi ke Paas Sona(Gold) itna hoke jo Nisab ko pahonchta ho 7 Tola(Gold) ya (Baaz Ulama e paas 6.1/2 Tola Gold) itna sona to hai,lekin Zaati Makan Nahi hai,to bhi Ayse Shaks per Zakat wajib hoti hai,kyu ke zakat wajib hone keliye Zaati Ghar ki Nahi Balke Sahib e Nisab(7 Tola Sona ya 52 Tola Chandi Jiske Paas ho) hona shart hai.
(Tavzeeh,Vol/1)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like