AUTO CALL RECORD KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,,
kiya kisi ki ijazat ke baghir Auto call recorder se saamne walo ki baat record karsakte hai ? ya Nahi ? aur iska kiya Hukm hai ?
(ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,,
Mobile me jo baat ki jati hai,wo ek khaas wa razdari guftugu hoti hai,jisko koi 3rd person nahi sun sakta hai,to goya wo baat uskeliye ” AMANAT” hai,jisko wo kisi ke saamne bayan bhi nahi karsakta hai,
haa,jo DEENI AUR DOOSRO KO FAIDAH KI BAAT HO AUR KAHNE WALE KA MAQSAD BAAT KO FAIDEH KELIYE HI AAM KARNA HAI,TO USKO KAHNE KI IJAZAT HAI.
uske alawah doosro ki razdari wali baat ” AUTO CALL RECORDER ” Baghir ijazat ke record karna ” SAHI NAHI HAI ” awr ye Amanat ke khilaf hai,to ye islam me jayiz Nahi hai.
aur aysa karna ” GUNAH ” me shumar hoga.
(Zujajat ul Masabeeh,vol/4),
haa,agar Qanooni daire me kisi ke jurm ke suboot ki tafteesh keliye ho to ijazat hai.

You might also like