** BALIGH AWLAD KA FITRAH?? **

 

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Kiya Walid ko Apne Baligh awlaad ka bhi fitrah dena hoga ?jabke Sab awlaad milkar Apne walidain ke saath ek hi maqam per rahte hai ?
(Mohd Muneer),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatulah.,
Baligh Awlaad ka Fitrah Jo awlaad Sahib e Nisab ho to Unko Khud apna Fitrah Ada karna wajib hai,walid per Baligh Awlaad ka Fitrah ada karna wajib nahi hai,
Agarche ke wo saare ek hi ghar me milkar rahe,
Walid per to apne Na Baligh Awlaad ka Fitrah unki Taraf Se dena hai,
Haan,agar walid apni Awlaad ki Taraf se ada karde to Fitrah ada to hojayega,agar baap per dena wajib nahi hai.
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/82),

You might also like