** BEWA MAA AUR SHADI KE PHOOL ?? **

 

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz log kahte hai,ke jis shaks ki Maa Bewa ho yani Jiske Walid ka inteqal hojaye aur Maa ho to us Maa se Shadi ke Mauqeh per Phool ya Koi Shadi ka kaam Nahi karwana hai ?kiya ye Sahi hai ?
(Minhaj Ahmed),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Shadi ke Mauqeh per Phool ka istemal Khushi aur Dulhe ke Imtiyaz(Pahchan) keliye karte hai,to in Phoolo aur Shadi ke Kaam ko Bewa Maa ke karne se rokna aur is Khushi ke Mauqeh per Bewa Maa ko Door rakhna ye sab “GHAIR MUSLIMO KA AMAL AUR JHOOTA AQEEDAH HAI” Is Kaam se Bewa Maa ko rokna Bilkul GHALAT AUR JAHALAT hai,Maa hi Bache ke kaam ki Haqdar hai,
Phool to Sirf Bandeh ko Khushboo hi de sakte hai,agar Wahi Maa ke Haath Bache ko Lag jaye to Bache ki Zindagi ko Khushboo hi Nahi Balke Haqeeqi Khushi me Badal dete hai,Saare Aalam ke Logo ki MAA Farishtah Sifat hoti hai…
Dunya ka koi bhi Kaam kitna hi mushkil kyu Na ho agar usme MAA ki Dua Shamil hojaye to Beshak wo Kaam Aasan hojata hai.
Dosto,Maa Ki Qadar karo…kyu ke wahi Hamari Jannat hai.
Note :Maaf karna Jawab Ziyadah taweel hogaya,kiya kare Maa ki Tareef keliye Alfaaz hi kaafi nahi hote hai,

You might also like