SHOHAR KE MAUT KI IDDAT AUR EISLE SAWAB KE DIN ?

Assalamualaikum mufti Sahab

1)Shoher ke maut ki Jo iddath hai us waqt me 40 din ke Baad Biwi ko naye kapde aur phool pehna sakte hai..?

2) Dahum(10), chaaliswa(40), Barsi(365), 
Yeh Sare isale sawaab ke kaam usi din karna chahiye ya kuch din aage piche karsakte hai..?

Baraye meherbani in sawaalat ke jawaab dijiyega
(Mohammed Raheem,Mbnr),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah.. 1) Shohar ke Maut ki Iddat 4 Maah 10 Din(four Month and Ten Days) hai,
(Al Quran,Surah Al Baqarah Ayat No : 234)
us se pahle Bivi ko chahe 40 Din pahle ho ya Baad me iddat ki muddat se pahle Phool aur Naye Kapde Nahi pahen na hai,kyu ke ye Zeenat me se hai,aur iddat me zeenat se mana kiya gaya hai,Haan,Zaroorat per Jab kapde kharab hojaye ab koi kapda na ho to tab naye kapde le sakte hai, 
2) jo bhi Eisal e Sawab ke Kaam hai,wo kabhi bhi karsakte hai,kisi bhi din aage bhi karke ya Peeche bhi …
plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..www.anwaarulislam,com

You might also like